________________________
Rishte - I
Bheegi ret mein seepii chunte, chaand mein chehre dhoondhte
Khud mein hi hanste-muskaate, paagal se yeh rishte hain
Teri hansi ki dhoop ke jaise, narm meherbaan roshan yeh
Sarson ke peele kheton se, lahke se yeh rishte hain
Har dhadkan mein saanse lete, har halchal mein mil jaate
Aahon mein bante-bujhte se, pighle se yeh rishte hain
__________________________
Rishte - II
Kheench ke suljhaana chaaha tha, kuchh gaanThein hi haath lagi
Resham ki naazuk doron se, uljhe se yeh rishte hain
Maine jab bhi rokna chaaha, haath chhuDa ke bhaag gaye
Anjaane logon mein bachchon se sahme yeh rishte hain
Sambhal ke rakhna paaon zameen pe, sannate na chubh jaayein
Is ghar ke zarre-zarre mein, bikhre se yeh rishte hain
_____________________________________

7 comments:
rishte I
--------
rishte toh rishte hain,
jo bin bole ban jate hain
rishte toh rishte hain,
jo muskanon mein dhal jate hain
kuch aise bhi rishte hain
jo anjane mein jud jate hain
laakh bhulaao in rishton ko
wo har raste pe mil jate hain
rishton ke darpan mein hi
ham khud ki pahchan kara pate hain
-------
--------------------------------
--------------------------------
rishte II
---------
kyo ham apni uljhan ko rishton se uljhate hain
kyo nahi ham har mausam pe unhe apna sa pate hain
kisne bandhi aitbaar ki seema
kisne ise shabdon mein dhala
kisne aakar diya hai isko
kisne ise pahle mapa
rishte toh rishte hain
jinmein koi deewar nahi hoti
rishte toh wo khushboo hai
jiski pahchan nahi hoti
ye toh bas tum si hai jo
muskurahat mein badal jati hai
choo jati hain saanso ko
dil cheer, jigar mein bas jati hai :)
---------
@Anon 1
what?
@Anon 2
that was good :)
btw, r u anon-1?
no :P
=))
don't start the anon-game here. itni badi kavita likh di, ab apna chhota sa naam bhi type kar dijiye :)
Naam jankar bhula toh na dogi
Rishta todne ki ise vajah toh na bata dogi
Rishte 2 = fantabulous !
@JJ
thanks :-)
Post a Comment