Thursday, February 07, 2008

Andhere-Ujaale

Yeh kaun sa pehar hai?

Maano mazaak-mazaak mein kisi ne din ke andhere aur raat ki roshni ke beech ki lakeer mita di ho!

Yeh shaam hai ya sehar hai?!
Yeh kaun sa pehar hai?

Monday, February 04, 2008

Qayaamat

Dam liya tha na qayaamat ne hanoz
Phir tera waqt-e-safar yaad aaya

[Ghalib]

Sunday, February 03, 2008

Gham-e-Hasti

Gham-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg ilaaj
Shama har rang mein jalti hai sehar hote tak

[Ghalib]


Translation:
If you're suffering from the pain of existence, there's no cure for you (save death)
A candle has to burn (in all its colors) till dawn


What I think it means:
Just like a candle has to burn (be in pain) constantly till the morning; in a similar fashion, for someone in love, life itself becomes a constant suffering , and there is no respite till death.


Word meaning:
Hasti = existence
Juz = other than
Marg = death
Ilaaj = cure
Shama = candle
Sehar = dawn



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...