Friday, May 27, 2005

Khaali dimaag ki upaj

(Suggest a title pls)

My ever-religious family is getting more religious every day. When you return home in vacations, you expect the kids to be at their naughtiest best. Not studying at all, playing a lot, attending all those summer camps and what not. All this is happening, no doubt, but along with it, some other things too.

Every Saturday evening, all the kids of the family (aged 2 to 18, around 20 of them) gather at one place, for 'Sundarkaand' path (from RamCharitMaanas). The Path is followed by Hanumaan Chalisa and some other rituals. Ofcourse, the whole affair has got family approval now, so more than the kids it's their mummas attending it.

Sunday mornings, it's Chinmaya Mission meeting, where again, all children gather at one place (our home), and we have Geeta path, MahishasurMardini MantrPath (which btw, is a beautiful collection of shlokas, written by Shankaracharya) and after that some discussion about life etc. (that doesnt make much sense for kids aged 10 or so, but mom thinks more than that it's important that they learn to live with all kind of ppl, whether they like them or not - and the meeting is a way to teach them this).

There's more to it. every morning when we drive Nanu for his tennis practice, we recite the twelfth chapter of Geeta (which Nanu has learned by heart, I still have to read it). Last to last time I came, I taught the kids the fifteenth chapter, and now they can as well teach me the twelfth one. For one thing, Nanu's got a clear pronounciation of shlokas and a good understanding of the chhandas and matras which I often find lacking even in girls my age.

All in all, there's at least one benefit - every weekend we get to spend 5 hours together, reason enough for all the religions.

In the end, religion, as Nida Fazli saw it-

"Bachcha bola dekhkar, masjid aalishaan
Allah tere ek ko, itna bada makaan?"

"Andar moorat par chadhe, ghee, poori, mishthan
Mandir ke baahar khada, Eeshwar maange daan"

"Ghar se masjid hai bahut door
Chalo yun kar lein
Kisi rote hue bachche ko
Hansaaya jaaye"

Thursday, May 26, 2005

Maddham-Maddham Teri Geeli Hansi

Saathiya saathiya maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya saathiya sun ke humne saari pee li hansi

Hansti rahe tu hansti rahe
Haya ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche garpan pe
Subah-o-shaam milti rahe
Sondhi si hansi teri khilti rahe milti rahe
Saathiya saathiya maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya saathiya sun ke humne saari pee li hansi

Peeli dhoop pahan ke tum
Dekho bag mein mat jaana
Bhanvre tumko sab dekhenge
Phoolon mein mat jaana
Maddham maddham hans de phir se
Sona sona phir se hans de

Taaza gire patte ki tarah
Sabz laal par lete hue
Sat rang hain bahaaron ke ek ada mein lapete hue
Saawan-bhaadon saare tumse
Mausam mausam hanste rahna
Maddham maddham hanste rahna
Saathiya saathiya maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya saathiya sun ke humne saari pee li hansi

Kabhie neele aasmaan par
Chalo ghoomne chale hum
Koi abr mil gaya to
Zameen pe baras lein hum
Teri baali hil gayi hai
Kabhie shab chamak uthi hai
Kabhie raat khil gayi hai

Tere baalon ki panaah mein
Yeh siyaah raat guzre
Teri kaali-kaali aankhein
Koi ujli baat utre
Teri ik hansi ke badle meri yeh zameen le le
Mera aasmaan le le
Saathiya saathiya maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya saathiya sun ke humne saari pee li hansi

Barf giri ho waadi mein
Aur hansi teri goonje
Oon mein lipti simti hui
Baat kare dhuaan nikle
Garm-garm ujla dhuaan
Narm-narm ujla dhuaan


That's why I'm Gulzar's fan! [:)]

Tuesday, May 24, 2005

Maa Ki Kursi

Mummy bahut samay se kahti thin vaisi ek kursi ke liye.

Aur phir unke birthday par humne theek vaisi hi kursi unhe gift ki. Unke kamre ke rang se milti-julti, vaisi hi badi aur aaramdaayak jaisi mummy chaahti thin.

Use laakar mummy ke kamre mein rakh diya gaya. Us badi si almaari ke bagal mein, jise mummy ne library bana rakha hai. TV ke theek saamne.

Badi izzat thi us kursi ki. TV par kisi bhi program ya movie se pahle hi turn lag jaati thi ki kaun baithega.

Kursi kya hai, couch hai. Kitni hi kitaabein padh daali hongi us par humne- kabhie baith kar, thak jaao to let kar. Ab to Nanu ki library bhi uske bagal mein hi aa gayi hai.

Mummy ne Jackie Chan ki dasiyon movies us par baith kar dekhi hongi.

Kabhie usi kursi ne bistar ka kaam kiya. Kahne ko sirf ek insaan ke baithne ke hi liye bani hai woh. Par hum sab hi uske ek hatthe par sar rakhkar, aur doosre se pair latkaakar kitni hi baar so chuke hain. Ek baar to school se thak kar aaya Nanu bag-bottle taange hue hi us par so gaya tha. Cheeku Dada ki shaadi ke waqt lahnga pahan kar hi 2 ghante us kursi par sona bhi yaad hai.

Paanch saal ho gaye use aaye hue, aur Sonu ke aaram se khana khaane, Nanu ke sketching se lekar Jhappu ke Board exams tak, sabmein anjaane hi uska naam juda hai.Uske baad bhi kitne hi furniture aaye ghar mein, lekin mummy ke kamre mein rakhi woh kursi aaj bhi utni hi khaas hai sabki.
Shayad isliye ki woh books ke paas aur TV ke saamne hai. Ya isliye ki woh badi aur aaramdaayak hai. Ya shaayad isliye ki woh mummy ki kursi hai, jaisi woh kitne samay se chaahti thin.

Thursday, May 12, 2005

Playlist today

Zeehal-e-muskin, makon baranjish, bahaal-e-hizraan bechara dil hai
Sunaayi deti hai jiski dhadkan tumhara dil ya humaara dil hai

Woh aake pehloo mein aise baithe, ki shaam rangeen ho gayi hai
Zara-zara si khili tabiyat, zara si ghamgeen ho gayi hai
__________________________________________
________________________________________

Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
Mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi

Ranj aur gham ki basti ka main baashinda hoon
Yeh to bas main hoon ki is haal mein bhi zinda hoon
Khwaab kyun dekhoon woh, kal jispe main sharminda hoon
Main jo sharminda hua tum bhi to sharmaaogi

Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi

Kyun mere saath koi aur pareshaan rahe
Meri duniya hai jo veeran to veeran rahe
Zindagi ka yeh safar tumpe to aasan rahe
Humsafar mujhko banaaogi to pachhtaaogi

Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi

Ek main kya abhi aayenge deewane kitne
Abhi goonjenge mohabbat ke taraane kitne
Zindagi tumko sunaayegi fasaane kitne
Kyun samajhti ho mujhe bhool nahin paaogi

Pyaar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
Mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi
________________________________________
________________________________________

Yeh to nahin ke gham nahin
Haan meri aankh nam nahin

Tum bhi to tum nahin ho aaj
Hum bhi to aaj hum nahin

Ab na khushi ki hai khushi
Gham ka bhi ab to gham nahin
________________________________________
________________________________________

Jinko duniya ki nigaahon se chhupaye rakha
jinko ek umr kaleje se lagaaye rakha
deen jinko, jinhe iimaan banaaye rakha

tune duniya ki nigaahon se jo bach kar likhe
saal-ha-saal mere naam baraabar likhe
kabhie din mein to kabhie raat ko uth kar likhe

teri khushbu mein base khat main jalaata kaise
pyaar mein doobe hue khat main jalaata kaise
teri haathon ke likhe khat main jalaata kaise
tere khat aaj main ganga mein baha aaya hoon
aag bahte hue paani mein laga aaya hoon
________________________________________
________________________________________

koi yeh kaise bataaye ki woh tanha kyun hai
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kyun hai
yahi duniya hai to phir aisi yeh duniya kyun hai
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyun hai

ek zara haath badha lein to pakad le daaman
uske seene mein sama jaaye humaari dhadkan
itni qurbat hai to phir faasla itna kyun hai

dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
ik lute ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo chhoot gayi phir se bandhaata kyun hai

tum masarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kahte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo yeh rishta to badalta kyun hai

Sunday, May 08, 2005

After the paper

What you had thought you'd do-
  1. Sleep
  2. Packing
  3. Get all the official work done
  4. Study for the next to next paper
  5. Go to the library and get some books issued
  6. Go shopping you've been putting off for so long
What you do-
  1. Sleep
  2. ...
  3. ?
  4. !
  5. Feel sleepy
  6. Listen to some crappy remixes
  7. Write a blog

Sunday, May 01, 2005

Yeah.... but

Yeah I have exams, but I cannot study.
I know I have to study, but cannot decide which subject.
I wanted to read software engg, but dont have the books.
My roomie's arranged the books, but I cannot concentrate.

Yeah I'm hungry, but it's my fast today.
Fast is over, but it's not supper time yet.
Lunch is ready, but it's once again tinda.
I go to the mess, but I'm not hungry anymore.

We have to start with the project, but it's such a stupid one.
We enjoy the work now, but there're so many bugs.
Cured all the bugs at the room pc, but the floppy's got virus.
Finally got the proj on the lab pc, but it just wont compile there.
Got rid of all the lab bugs too, but the program hangs in front of the guide. :((

Yeah our project's ready for demonstration, but the external hasn't reached yet.
He's arrived, but discussing things with the dean now.
Demonstrations have begun, but he's in the other lab.
He'll come to our lab, but it's lunch break now. :((

Wanted to talk, but cannot find the right person.
Okay, anyone'll do, but noone's got time.
Met a friend at last, but s/he just wont understand.
Told all my problems, s/he says "to kya hua?" :((

Wanted to write something, didn't know what.
Decided a topic, but couldn't find words.
Wrote it finally, but it doesn't make sense!!!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...