..
Kabhie zindagi ki daud mein
Tezi se bhaagta hua
Phir teri hansti aankhon mein
Wohi pal mila hai ruka hua
Dekho zara is waqt ka
Bhi bachpana hai gaya nahin
Sab dhoondhte hain yahan-wahan
Hansta kahin, yeh chhupa hua
Tumse bataao kisliye
Yeh dushmani hai waqt ki
Tum aaye, aur woh chal diya
Jo tha lamha kab se thama hua
Pichhli mulaqaat mein
Kuchh pal tum bhool aaye the
Chaukhat ke shayad paas hai
Ek pal abhi bhi pada hua
Alsaaya sust ek pal
Aangan mein dhoop senkta
Ik bhoola-bisra lamha hai
Choolhe pe sulagta hua
Satrangi shaam bhi to yeh
Guncha hai rangeen phoolon ka
Yeh lamha tere naam ka
Hai indradhanush mein bandha hua
Tu hansta hai to saath mein
Yeh bhi to khilkhilaata hai
Gusse mein teri baaton se
Phir dil ko cheerta hua
Humne to intezaar mein
Dariya yeh baandh rakha tha
Tumhe yaad karte hi bah chala
Jo yuun hua, to kya hua
Aa jaao ki din thak gaya
Sooraj ne aankhein moond lii
Dekho diya hai bujh raha
Pal uD rahe hain dhuaan-dhuaan
.
Kabhie zindagi ki daud mein
Tezi se bhaagta hua
Phir teri hansti aankhon mein
Wohi pal mila hai ruka hua
Dekho zara is waqt ka
Bhi bachpana hai gaya nahin
Sab dhoondhte hain yahan-wahan
Hansta kahin, yeh chhupa hua
Tumse bataao kisliye
Yeh dushmani hai waqt ki
Tum aaye, aur woh chal diya
Jo tha lamha kab se thama hua
Pichhli mulaqaat mein
Kuchh pal tum bhool aaye the
Chaukhat ke shayad paas hai
Ek pal abhi bhi pada hua
Alsaaya sust ek pal
Aangan mein dhoop senkta
Ik bhoola-bisra lamha hai
Choolhe pe sulagta hua
Satrangi shaam bhi to yeh
Guncha hai rangeen phoolon ka
Yeh lamha tere naam ka
Hai indradhanush mein bandha hua
Tu hansta hai to saath mein
Yeh bhi to khilkhilaata hai
Gusse mein teri baaton se
Phir dil ko cheerta hua
Humne to intezaar mein
Dariya yeh baandh rakha tha
Tumhe yaad karte hi bah chala
Jo yuun hua, to kya hua
Aa jaao ki din thak gaya
Sooraj ne aankhein moond lii
Dekho diya hai bujh raha
Pal uD rahe hain dhuaan-dhuaan
.
7 comments:
did you write this?
:((
kya Raja, u've posted the same comment for last 3 posts [-(
yes, I wrote this
ek aur acchi rachna..
pata nahi kaha tak sahi hoon par is kriti ke bhaav toh kaphi acche hain par link missing hai(ye bhi ho sakta hai bhaav kuch jyada hi gahre hain aur meri samajh se bahar hon).
"Dekho zara is waqt ka
Bhi bachpana hai gaya nahin
Sab dhoondhte hain yahan-wahan
Hansta kahin, yeh chhupa hua
Tumse bataao kisliye
Yeh dushmani hai waqt ki
Tum aaye, aur woh chal diya
Jo tha lamha kab se thama hua"
just see in one para you are expressing the delightement another one is something sad. May be it can be your style.
yes, u're right. I was almost sleeping when I wrote this :)
What else would I do? Your writing has changed completely. It used to be a talented kid talking to elders 'bout simple things. Now it's a mature girl talking to peers with well-chosen words!
@Raja
thanks :)
but u're still free to post comments at a mature girl's blog :-p
Post a Comment