Dil dhoondhta hai, phir wohi, fursat ke raat din
Baithe rahein, tasavvur-e-jaana kiye hue
[Ghalib]
Galiyon mein baarishon mein, bach kar chalo jo tum
Hans dein hum, dhaani chunri pe chheente uchhaal kar
Dekha karein, aankhein teri shikwe liye hue
Phir gungune patjhadon mein, shaakhein chuna karein
Yaaron ke beech baith ke; yaadein buna karein
Chuskiyon mein chaai ki, ghul kar hanste hue
JaaDon ki narm dhoop aur, aangan mein let kar
Aankhon pe kheench kar tere, aanchal ke saaye ko
Aundhe paDe rahein kabhi, karwat liye hue
Yaa garmiyon ki raat jo, purwaaiyaan chalein
ThanDee safed chaadaron par, jaagein der tak
Taaron ko dekhte rahein, chhat par pade hue
Barfeeli sardiyon mein, kisi bhi pahaaD par
Waadee mein goonjti hui, khaamoshiyaan sune
Aankhon mein bheege bheege se, lamhe liye hue
.
This song never fails to make me yearn for the leisurely days back in Rewa. I tried adding two more verses to the first one (written by Ghalib) and the last three (written by Gulzar).
.