Dastakein dein, dar naye kuchh khol dein
Hansein, khilein,
Chup geeton ko phir bol dein
Andhera chubh raha hai aankhon mein
Syaah raaton mein chaandani ab ghol dein
Dilon ki bandishon se nikaalein raaz ko
Khula gagan dein, pankh dein parvaaz ko!
Milein, puraane doston ko naye naam dein
Thak chuki aankhon ko kuchh aaraam dein
Hadd mein baandhein kyun zehan ke khwaabon ko?
Khwaahishon ko aao hum anjaam dein!
Chalo, aawaaz de bula lein apne aaj ko
Chhoo kar hawa ko, pankh dein parvaaz ko!
8 comments:
its getting better :)!
Aao kuch der ko hakeekat se muh fer lein..
Sapne yun dekein ki jaise saare armaan, sab hasratein wakai mein poore hote hon..
Baat yun karein ki jaise kabhi koi gila, koi shikwa tha hi nahi...
Aur gila ho bhi to usse dil mein ghar nahi, labon se bayaan karein..
Guzre kal pe royein nahi, balki aane waale palon mein khushi talashein..
Hasein, khilkhilayein yun ki jaise dil pe kabhi koi bojh tha hi nahi...
Ya phir yun kahun ki kuch der bachpan ko fir se apna lein hum! :)
good one.... =d>
aur haan pehle wala mujhe fir se padhne ke baad bhi samajh me nahi aya... sayad shallow tha isiliye ;)
good one, but I guess it should have been written in hindi. Too many "eins" and aans" in english. ;-)
Shantanu
@Raja
yes, I wrote it :)
@JJ
thanks
that was a good one :)
@Bhavesh
thanks :) haan kuchh zyada hi shallow tha. so u can just as well stop pondering over it :p
@Shantanu
thanks
but writing in hindi doesn't give too many choices in fonts and I don't particularly like the one google has!
nice, very nice :)
thanks Arpz! :)
Post a Comment