Friday, March 30, 2007

Sapna

Ajeeb sapna tha!

Tum saath the mere
Chup si baarish;
Maano khaamoshi ko todna gunaah ho!

Kashish, qurbat, chubhan, raahat
Khaamoshi ki sharaarat ko
Jyon ishq ki bhi panaah ho!

Gum se lamhon se bani shaam
Chup se khwaabon se saji shaam

Woh shaam hazaaron boondo ki


Ajeeb sapna tha!


Agli subah dekha - na jaane kaise
Baarish ki boondein takiye par thiin

Aankhon se chhalak gayin hon jaise

Bheega, nanha woh sapna -
Uneendi palkon se roka
nahin gaya

(Kashish: Attraction; Qurbat: Closeness; Jyon: as if; Uneendi: Sleepy)

Wednesday, March 28, 2007

Khamoshi

Lafz kuchh fizool, kuchh na-paak se lagte hain
Ek shakhs se khaamoshi baanti thi maine
*

Monday, March 26, 2007

Zindagi

*
Guzara din ka kaarvaan bemaani sa
Phir anjaan shahar mein raat ka paDaav

Jhulasti dupehari mein waqt oonghta sa
Siharti chaandni ka bujhta sa alaav

Aakhiri mukaam ko dhoondhne nikla
Zindagi ki nadii ka maddham bahaav

*

Friday, March 16, 2007

Andhera

Zindagi ke peele panne
Aur diya tere naam ka
Kuchh sawaal parchhaiyon ke
Yeh imtehaan tanhaaiyon ke!

Tanha sa peela chaand bhi
Khoya hai kaale bhanvron mein
Teri aankhon ki gehraaiyon ke
Yeh imtehaan tanhaaiyon ke!

_______

Sunday, March 11, 2007

Kal Raat

Ek dhaaga aur liya teri yaad ka
Ek sapna aur buna kal raat humne

Tanhaayi, khaamoshi ke kisse ka
Ek lamha aur suna kal raat humne

:)
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...