Intezaar hai, tumhara
Aao, aur ek baar saare ankahe lafz sun lo
Saari khwaahishon ko samajh lo,
Zinda kar do mujhe
Saari khwaahishon ko samajh lo,
Zinda kar do mujhe
Bejaan aankhein panaah chaahti hain,
Thak chuki hai zindagi,
Berukhe sannaton se
Thak chuki hai zindagi,
Berukhe sannaton se
Chhoo kar apne haathon se meri ungliyon ko,
Jaan daal do badan mein
Sukoon do rooh ko
Jaan daal do badan mein
Sukoon do rooh ko
Kahan ho tum?
Intezaar hai, tumhara -
Lamha-lamha bujhti zindagi ko!
Intezaar hai, tumhara -
Lamha-lamha bujhti zindagi ko!
.
13 comments:
acchha hai!
par pata hai doosri baar padho to aisa lagta hai ki baat superficial reh gayi....matlab thoda jaldi likh diya!
JJ,
jaldi to nahin, haan neend mein zaroor likha tha! =)
I don't usually read what I've written. Isko padha, aur laga nahin ki incomplete hain =P
Tum baat poori karne ki koshish karo!
poori to hai hi sahi....bas shayad thode kam shabdon mein kahi jaa sakti thi...but as I said its pretty good as it is. Issi type ka kuch hai, padh lena:
तुम चली गई हो
लेकिन अपनी उगलियाँ इन हवाओं में भूल गई हो
ये बेवज़ह उलझा देतीं हैं मेरे बाल
फिर सुलझाने भी लगतीं हैं बडी नर्मी से
बस तुम्हारी ये उगलियाँ मेरे हाथों में नहीं आतीं
तुम आओ तो तुम्हारा हाथ थामूँ
JJ,
arey bahut badhiya! :)
Thanku :-)
and
Excellent. If I had any interest left in my own blog, I'd change the link to 'Sapna' with a link to this one.
hi, was searching for gulazr saab ke namey...came across your site...i dont know who you are or what your name is...but what i want to do doesn't require these things...i want to thank you for such a beautiful site...thanks :)
@Raja
Thanks :) tareef kuchh zyada ho gayi!
@Rajtilak
Thanks :)
zyada kahan hui? I just said that I'd swap this poem for another of your poem! Both these poems have my feelings in your words.
@Raja
would like to read ur feelings in ur own words. blogging dobara shuru karo! ;)
Zyada maang liya. Is duniya mein itha milta nahi.
@Phoenix
milta hai shayad, haan tikta nahin!
liked this one too!
Post a Comment