Monday, February 04, 2008

Qayaamat

Dam liya tha na qayaamat ne hanoz
Phir tera waqt-e-safar yaad aaya

[Ghalib]

8 comments:

jj said...

Mere khayal se Hanoz hona chahiye hunooz ki jagah..some more couplets from the same ghazal
Zindagi yoon bhi guzar hi jaati
Kyon tera raahguzar yaad aaya?

Phir tere kooche ko jaata hai khayaal
Dil-e-gumgashta magar yaad aaya

Koi veeraani-si-veeraani hai
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

Kanupriya said...

yes, it's 'hanoz' :) corrected that!
it's good :)
was it a part of the Mirza Ghalib volume by Jagjit Singh? (Featuring Naseeruddin Shah)

jj said...

It was in the movie Mirza Ghalib, I am pretty sure it was not a part of the album Mirza Ghalib that came out later...

though for some reason the original for cut short while it was used in the movie....itni pyari ghazal ko chop kar dene se feel chali jaati hai!

jj said...

here is the complete ghazal:

Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
Dil jigar tashna-e-fariyaad aaya
Dam liya tha na qayaamat ne hanoz
Phir tera waqt-e-safar yaad aaya
Saadgi haay tamanna, yaanee
Phir woh nai-rang-e-nazar yaad aaya
Uzr-e-waamaandagee 'ei hasrat-e-dil
Naala karta tha jigar yaad aaya
Zindagi yoon bhi guzar hi jaati
Kyon tera raahguzar yaad aaya?
Kya hee rizwaan se ladaayee hogi
Ghar tera khuld mein gar yaad aaya
Aah woh jurat-e-fariyaad kahaan
Dil se tang aake jigar yaad aaya
Phir tere kooche ko jaata hai khayaal
Dil-e-gumgashta magar yaad aaya
Koi veeraani-si-veeraani hai
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
Maine Majnoon pe ladakpan mein 'Asad'
Sang uthaaya tha ki sar yaad aaya!

arpana said...

whoa! new new look! nice nice.

Kanupriya said...

JJ, Arpana
Thanks! :)

Voice said...

honest comment
kuchh samajh me nhi aya

:D


lekin rozana ki kayakalp ho gayee hai
kya hua kanu ko

aur tumhare liye ek sawal
ek radha ek meera
dono ne shayam ko chaha [and both were kanupriya... though it is other name of radha]
antar kya dono ke prem me bolo

Kanupriya said...

@Bhav
philosophy ki baatein mujhe aati nahin, par mere khyaal se prem ke koi roop nahin hote, it just is.

and abt the blogger template, well mujhe kuchh hua nahin, just wanted to change the look of the blog :)

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...