Saturday, December 08, 2007

Parvaaz (Flight)

Dastakein dein, dar naye kuchh khol dein
Hansein, khilein,
Chup geeton ko phir bol dein

Andhera chubh raha hai aankhon mein
Syaah raaton mein chaandani ab ghol dein

Dilon ki bandishon se nikaalein raaz ko
Khula gagan dein, pankh dein parvaaz ko!

Milein, puraane doston ko naye naam dein
Thak chuki aankhon ko kuchh aaraam dein
Hadd mein baandhein kyun zehan ke khwaabon ko?
Khwaahishon ko aao hum anjaam dein!

Chalo, aawaaz de bula lein apne aaj ko
Chhoo kar hawa ko, pankh dein parvaaz ko!

Wednesday, December 05, 2007

Kabragaah

Chand (चंद) khwaab dafn hain yahan
Ek rooh bhi.
Aur dekho, kitne pyaar se
Koi roz berukhi ke phool chadha jaata hai!
.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...