Monday, November 27, 2006

Khalish

.
Khanjar se haathon pe lakeerein
Koi bhala kya likh paaya
Humne magar is paagalpan mein
Khud ko chhala hai seene mein
.

3 comments:

rahul said...

Khalish pe Gaalib yaad aa gaye:
Ab meih samjha tere teer-e-neemkash ko , yeh khalish kaha se hoti, jo jigar ke paar hota...
Agar or zinda rehte yehi intezar hota

Kanupriya said...

Correction:
Koi mere dil se poochhe tere teer-e-neemkash ko
Yeh khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
:-)

SATYAANVESHI said...

Vo jo aks rang-e-Hilaal thi, wo jo aap apni misaal thi,
Mujhe aaj tak hai khalish yahi, tujhe wo ghazal na suna saka
-- Helaal Fareed

Ae yaad-e-yaar dekh ki ba-vasf-e-ranj-e-hijr,
Masruur hein teri khalish-e-na-tavaan se hum
-- Hasrat Mohani

My favorite:
Ek khalish ko haasil-e-umr-e-ravaan rehne diya,
Jaan kar humne unhe naa meherbaan rehne diya
--- Adeeb Saharanpuri

Read at: rekhta.org

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...