Monday, September 18, 2006

Tere Aane Ki Jab...

Tere aane ki jab khabar mahke
Teri khushbu se saara ghar mahke


Shaam mahke tere tasavvur se
Shaam ke baad phir sahar mahke


Raat bhar sochta raha tujhko
Zehan-o-dil mere raat bhar mahke


Yaad aaye to dil munavvar ho
Deed ho jaaye, to nazar mahke


Woh ghadi do ghadi jahaan baithe
Woh zameen mahke woh shajar mahke


5 comments:

Raja said...

baap re!

Kanupriya said...

kya "baap re"?!

Siyaah said...

that was interesting.

rg said...

Great Presentation !

rg said...

Dear Kanu,

In the last line of this beautiful ghazal, there is a mistake.

Vo jameen "MAHKE" is the right word.

By the way, excellent effort added the beauty in this touching song.

Keep it up!

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...