Tuesday, May 24, 2005

Maa Ki Kursi

Mummy bahut samay se kahti thin vaisi ek kursi ke liye.

Aur phir unke birthday par humne theek vaisi hi kursi unhe gift ki. Unke kamre ke rang se milti-julti, vaisi hi badi aur aaramdaayak jaisi mummy chaahti thin.

Use laakar mummy ke kamre mein rakh diya gaya. Us badi si almaari ke bagal mein, jise mummy ne library bana rakha hai. TV ke theek saamne.

Badi izzat thi us kursi ki. TV par kisi bhi program ya movie se pahle hi turn lag jaati thi ki kaun baithega.

Kursi kya hai, couch hai. Kitni hi kitaabein padh daali hongi us par humne- kabhie baith kar, thak jaao to let kar. Ab to Nanu ki library bhi uske bagal mein hi aa gayi hai.

Mummy ne Jackie Chan ki dasiyon movies us par baith kar dekhi hongi.

Kabhie usi kursi ne bistar ka kaam kiya. Kahne ko sirf ek insaan ke baithne ke hi liye bani hai woh. Par hum sab hi uske ek hatthe par sar rakhkar, aur doosre se pair latkaakar kitni hi baar so chuke hain. Ek baar to school se thak kar aaya Nanu bag-bottle taange hue hi us par so gaya tha. Cheeku Dada ki shaadi ke waqt lahnga pahan kar hi 2 ghante us kursi par sona bhi yaad hai.

Paanch saal ho gaye use aaye hue, aur Sonu ke aaram se khana khaane, Nanu ke sketching se lekar Jhappu ke Board exams tak, sabmein anjaane hi uska naam juda hai.Uske baad bhi kitne hi furniture aaye ghar mein, lekin mummy ke kamre mein rakhi woh kursi aaj bhi utni hi khaas hai sabki.
Shayad isliye ki woh books ke paas aur TV ke saamne hai. Ya isliye ki woh badi aur aaramdaayak hai. Ya shaayad isliye ki woh mummy ki kursi hai, jaisi woh kitne samay se chaahti thin.

4 comments:

Anonymous said...

So damn cute :-)

~ Time [8)]

Kanupriya said...

Thanx. [:)]

Aurora said...

strange na smtime we r so close to non living thing

Samyak said...

Kanu, u made me feel nostalgic. Even mere dad ne mujhe ek kursi laa di thi, taaki main aaram se padh sakoon and wahi pe padhate padhate so jaaoon !!
So nice !!
--
Image verification.. Grrr.. !!

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...